Baaziger to Bhajigar

Dialogues:

1) Baaziger:

"Kuch pane ke liye bhi kuch khona padta hai, aur kuch pa kar khone wale ko
Baziger kehte hain".

Bhaji Ghar:

"Pet bharne ke liye kuch khana padta hai , aur kuch khane ki cheezien
bechne wali jaga ko Bhaji Ghar kehte hain."


2) Mohabbatien:

"Ek ladki thi dewani si , Ek ladke pe woh marti thi , nazren jhuka ke ,
sharma ke , galion se guzrti thi , chori chori chupke chupke chitthiyan
likha karti thi, kuch kehna tha shayad us ko , jane kis se darti thi,jab
bhi milti thi mujh se , mujh se poocha karti thi, yeh pyar kaise hota hai , yeh
pyar kaise hota hai , aur main sirf yahi keh pata tha"

Musebatien:

"Ek ladka tha pagal sa, ek moti pe woh marta tha ,
nazrien chupa ke, dar dar ke , date pe jaya karta tha , kuch kehna tha
sayad us ko , magar us moti se darta tha , jab bhi milta tha bechara mujh
se mujh se poocha karta tha , " main chutkara kaise paoooon, main chutkara
kaise paooon", aur main sirf yahi keh pata tha ("abe to aise lafron main
padta hi kyun hai )"

3) Darr:

"kkkkkkkkkkkkkkkk Kiran"

Marr:

woh: "kkkkk" , samne wala: "kya bhai" , woh: "kkkkkkkk", samne wala : "kya
bhai kya ho gaya", woh: "kkkkkkk", samne wale ne thappad laga di, "kya kab
se kkkkkkkkkk kar raha hai be"


4) Kuch Kuch hota hai:

"Pyar dosti hai , agar woh meri sab se acchi dost nahi ban sakti to main us
se pyaar kar hi nahi sakta"

Kuch Kuch Zaroor ho raha hai:

"Date bahaut zaroori hai , agar woh mere saath date par nahi aa sakti , to
main us se pyaar kya pyaar ka abba bhi nahi kar sakta" (Samajhti kya hai
apne aap ko)"

5)Sholay:

"Are oh samba, Kitne admi the re, hahahaha, Jo dar gaya samjho mar gaya"

Tolay:

"Mummmmyyyy, kitne toley hain mere sar main", Mummy : "Jo pakra gaya samjho
mar gaya"

6)Kante:

"Ek din hum sab ko narakh main to jana hi hai , yeh kam karo aur lambi gadi
main jao nahi to pedal"

Chante:

"Ek din hum sab ko date par to jana hi hai , ek kam karo , GF ko bus main
bithao , aur khud jao pedal (Paise bacaho)


7)Kabhi Khushi Kabhi Ghum:

"Parampara Dad, Parampara , pehle aap gaye the phir bhaiya gaye the aur ab
mujhe jana chahiye"

Kabhi tum Kabhi hum:

"Parampara Dad , Parampara, pehle aap date par jate the , phir bhaiya jane
lage , ab main bhi jaooon ga"

Comments